# Poetry  club

      On Fathers' Day Special

                           -The Papađź’ť

Wo maa hi nhi thi sirf jo apni raato ko kaali
karti thi meri tabyet khrab hone par..
jaha mai  Maa ki god me uyein uyein karke
ro rahi thi,  wahi.. wo papa the jo jaldi se mere 
liye dudh  tayar kar rahe the..


Wo bachpan me --
Har Shaam ko tak taki lagaye kivaad ki aadh
mein main jhakte rehti thi ki kab papa ayenge,
chocolate   chips cold drink dilayenge, 
fir bistar pe mere liye kabhi ghodha banenge ,
kabhi hathi banenge , aur mere sath khelenge.....


Sadi garmi mein khud ke kamre ki chhat pe pankha har 
roz chalte chalte ruk jata tha lekin mujhe cooler
 ki thandhi hawa mein sulate the  kyuki  majaal h
 garmi ko mere seene se guzarne de...


Waqt gujarta gya .....
Us waqt papa jo bolte the maan liya karte the 
patthar ki lakeer samajh kar zehen mein betha 
liya karte the lekin aaj .. aaj papa ki kahi har 
baat purani soch aur fizul ka gyaan lagti h..


Fir bhi .. jazbaat kehte h ki zindagi me  
itna  naam kamaungi ki , apne papa ko 
khamoshi aur sukoon bhari neend sula 
saku apne  ghar me... 


unhein wo sab kuchh du jinhein wo apne 
daur mein pa  na sake aur hamare daur me
 aate aate pa sakte the to hamari khushi ke liye
hume de diya, fir bhi khud na pa sake..


Jazbaat .. izzat.. aur Mohabbat bahaut 
karti hu main unse...Papa ..Mere Hero...





                                       - A poertry that tells the feelings of heart
   

Comments

Popular posts from this blog

Amazing opportunity to earn from home during this pandemic period